Aitbar Sajid,

Kal yeh likhti theen...

01:10 Unknown 0 Comments

Kal yeh likhti theen bicharna tumhe manzoor nahin,
Ab yeh kehti ho �mere khat mujhe wapis kar do�,

Main safaayi koi doon ga na wazaahat doon ga,
Tum ko wapis main tumhari yeh amaanat doon ga,
Phir kabhi tumse na milney ki zamanat doon ga,

Bas tumhe tark-e-marasim pe yeh zehmat doon ga,
Tum ho bechain to mein bhi koi masroor nahin,

Kal yeh likhti theen bicharna tumhe manzoor nahin,
Ab yeh kehti ho �mere khat mujhe wapis kar do�..!

You Might Also Like

0 comments: